ai dost mujhe soz-e-nihāñ maar na Daale
ye nāla-e-shab āh-o-fuġhāñ maar na Daale
ik umr se paivast rag-e-jāñ hai magar ab
Dartā huuñ ki ye tīr-e-tapāñ maar na Daale
raa.ij hai zabāñ-bandī kā dastūr chaman meñ
bulbul ko kahīñ zabt-e-fuġhāñ maar na Daale
ḳhurshīd-e-qayāmat se sivā soz-e-darūñ hai
ai shaiḳh tujhe ishq-e-butāñ maar na Daale
tū ḳhvāb hai ehsās hai naġhma hai ki gul hai
ye kashmakash-e-vahm-o-gumāñ maar na Daale
but-ḳhāne meñ jaatā hai baḌe shauq se lekin
zāhid ko kahīñ husn-e-butāñ maar na Daale
betābī-e-dil kī ye davā ḳhuub hai lekin
pahlū meñ ye sharbat kī dukāñ maar na Daale
had se na guzar jaa.e tirī tarz-e-taġhāful
furqat tirī ai jān-e-jahāñ maar na Daale
baiThā huuñ tire sāya-e-gesū meñ magar ab
Dartā huuñ ki ye rāhat-e-jāñ maar na Daale
ab daulat-e-dil haar ke rotā hai 'muzaffar'
muflis ko ye ehsās-e-ziyāñ maar na Daale