Muzaffar Ahmad Muzaffar

jo lazzat-e-ashna-e-dard-e-hijran hote jate hain

Muzaffar Ahmad Muzaffar

Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1969
jo lazzat-e-āshnā-e-dard-e-hijrāñ hote jaate haiñ
sar-e-kū-e-tamannā vo ġhazal-ḳhvāñ hote jaate haiñ
safīna Duub hī jā.egā ab bahr-e-talātum meñ
habāb-āsā harīf-e-mauj-e-tūfāñ hote jaate haiñ
vahī bante haiñ baa.is dosto betābī-e-dil kā
mohabbat meñ jo nazdīk-e-rag-e-jāñ hote jaate haiñ
matā-e-dil jinheñ sauñpī thī maiñ ne rāh-e-ulfat meñ
ta.ajjub hai vahī ġhārat-gar-e-jāñ hote jaate haiñ
dabistān-e-mohabbat meñ ik aisā daur aatā hai
ki aurāq-e-kitāb-e-dil pareshāñ hote jaate haiñ
asar bād-e-fanā hone lagā hai jazba-e-dil kā
vo mujh ko dafn kar ke ab pashemāñ hote jaate haiñ
junūñ meñ bhī 'muzaffar' hai hameñ pās-e-adab har-dam
ba-qadr-e-zarf mahv-e-husn-e-jānāñ hote jaate haiñ
Top Urdushayar.com