Muzaffar Ahmad Muzaffar

hum talKHi-e-hayat ko aasan na kar sake

Muzaffar Ahmad Muzaffar

Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1969
ham talḳhī-e-hayāt ko āsāñ na kar sake
sahrā.ī-zindagī ko gulistāñ na kar sake
thā zo.am jin ko apnī masīhā.ī kā yahāñ
vo bhī ilāj-e-sozish-e-pinhāñ na kar sake
vāraftagī-e-shauq meñ shal ho ga.e badan
aabid tavāf-e-kūcha-e-jānāñ na kar sake
kuchh yuuñ chalī thī bād-e-havādis ki ki umr-bhar
qindīl-e-ārzū ko farozāñ na kar sake
ālām-e-āshiqī ne kiyā ḳhud se be-ḳhabar
ham tazkira-e-saḳhtī-e-daurāñ na kar sake
aisā chubhā hai nashtar-e-bedād-e-ārzū
ham zindagī meñ phir koī armāñ na kar sake
bād-e-nasīm ab ke 'muzaffar' ajiib thī
ham ehtimām-e-sub.h-e-bahārāñ na kar sake
Top Urdushayar.com