Muzaffar Ahmad Muzaffar

ek tu hi nahin nasiya-farsa mere aage

Muzaffar Ahmad Muzaffar

Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1969
ik tū hī nahīñ nāsiya-farsā mire aage
har shaḳhs hai mahrūm-e-tamannā mire aage
ai ziist tujhe yaad haiñ andāz-e-junūñ-ḳhez
jab zarra-e-sahrā bhī thā sahrā mire aage
vo daur ki dariyā bhī thā ik qatrā-e-be-āb
ab qatra-e-be-āb hai dariyā mire aage
ai dāvar-e-mahshar vo ghaḌī yaad hai tujh ko
jab laayā gayā merā sarāpā mire aage
rotā hai mirā jazba-e-dil dekh ke majnūñ
be-parda chalī aatī hai lailā mire aage
likkhā hai tirā naam samundar pe havā ne
ai dost na kar us kā yuuñ charchā mire aage
yūsuf to hai kan.ān meñ pāband-e-salāsil
shīshe meñ utartī hai zuleḳhā mere aage
ai aah agar chhoḌ duuñ maiñ zabt kā dāman
uḌne lage ḳhāk-e-ruḳh-e-sahrā mire aage
bulbul kā lahū kūcha-e-qātil meñ bahā yuuñ
jaise ho koī mauja-e-dariyā mire aage
afsos huā band sanam-ḳhāna-e-āzar
nāseh na sunā aa ke ye muzhda mire aage
vo fitna-e-mahshar hai magar mohr-ba-lab hai
jaise ho koī mom kī guḌiyā mire aage
zāhid ke liye khol de maiḳhāne kā dar aaj
bismil sā taḌaptā hai ye pyāsā mire aage
tāsīr na hotī jo mirī chashm-e-fusūñ meñ
shīshe sā na saaqī kabhī girtā mire aage
ḳhush-baḳht thā vo daur 'muzaffar' ki chaman meñ
TuuTā na kabhī shāḳh se ġhuncha mire aage
Top Urdushayar.com