Mazhar Imam

uski aankhon mein tamanna-e-sahar rakh dena

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
us kī āñkhoñ meñ tamannā-e-sahar rakh denā
sīna-e-shab meñ kisī baat kā Dar rakh denā
aaj guzregā isī samt se vo mahr-e-badan
dil ke raste meñ zarā chand shajar rakh denā
ye na kahnā ki añdherā hai bahut rāhoñ meñ
us se milnā to hathelī pe qamar rakh denā
us ko ash.ār sunānā to karāmāt ke saath
apne TuuTe hue lafzoñ meñ asar rakh denā
vārdāteñ to ka.ī shahr meñ guzrī hoñgī
aaj aḳhbār meñ merī bhī ḳhabar rakh denā
jis varaq par hai hadīs-e-lab-o-ruḳhsār raqam
us varaq par koī barg-e-gul-e-tar rakh denā
ek mahtāb daraḳhshāñ hai sar-e-bām-e-ḳhayāl
merī āñkhoñ meñ bhī nairañg-e-nazar rakh denā
lāla-e-sañg se tarāshe vo koī paikar-e-sañg
dast-e-sanña.a meñ ik ye bhī hunar rakh denā
Top Urdushayar.com