diloñ ke rañg ajab rābta hai kitnī der
vo āshnā hai magar āshnā hai kitnī der
na.ī havā hai kareñ mish.al-e-havas raushan
ki sham-e-dard charāġh-e-vafā hai kitnī der
ab aarzū ko tirī be-sadā bhī honā hai
tire faqīr ke lab par duā hai kitnī der
ab us ko sochte haiñ aur hañste jaate haiñ
ki tere ġham se ta.alluq rahā hai kitnī der
hai ḳhushk chashma-e-sahrā marīz vaadī o koh
nigār-ḳhāna-e-āb-o-havā hai kitnī der
ThiThurte phuul pe tasvīr-e-rañg-o-bū kab tak
jhulastī shāḳh pe barg-e-hinā hai kitnī der