Mazhar Imam

nigah o dil ke pas ho wo mera aashna rahe

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
nigāh o dil ke paas ho vo merā āshnā rahe
havas hai yā ki ishq hai ye kaun sochtā rahe
vo merā jab na ho sakā to phir yahī sazā rahe
kisī ko pyaar jab karūñ vo chhup ke dekhtā rahe
use manā to luuñ magar ye silsila bhī kyā rahe
alag hai us kā zā.iqa ki vo khiñchā khiñchā rahe
mashām-e-jāñ pe ḳhushbuoñ kī jab phuvār hī na ho
hazār baat baat meñ vo phuul Tāñktā rahe
shaguftan-e-jamāl ko hijāb-e-lams chāhiye
fasīl-e-shab kī oT meñ charāġh ye jalā rahe
na itnī duur jā.iye ki log pūchhne lageñ
kisī ko dil kī kyā ḳhabar ye haath to milā rahe
Top Urdushayar.com