Mazhar Imam

apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
apne kho.e hue lamhāt ko paayā thā kabhī
maiñ ne kuchh vaqt tire saath guzārā thā kabhī
aap ko mere ta.āruf kī zarūrat kyā hai
maiñ vahī huuñ ki jise aap ne chāhā thā kabhī
ab agar ashk umañDte haiñ to pī jaatā huuñ
hausla aap ke dāman ne baḌhāyā thā kabhī
ab usī giit kī lai soch rahī hai duniyā
maiñ ne jo giit tirī bazm meñ gaayā thā kabhī
merī ulfat ne kiyā ġhair ko maa.il varna
maiñ tirī anjuman-e-nāz meñ tanhā thā kabhī
kar diyā aap kī qurbat ne bahut duur mujhe
aap se buad kā ehsās na itnā thā kabhī
dost nādāñ ho to dushman se burā hotā hai
mujh ko apne dil-e-nādāñ pe bharosā thā kabhī
Top Urdushayar.com