haath uThte hī kaTā chaliye yahāñ se chaliye
kyā duā kaisī duā chaliye yahāñ se chaliye
baaz hai koī darīcha na koī dar hai khulā
koī jalva na adā chaliye yahāñ se chaleñ
us ke ghar par bhī vahī shahr-e-ḳhamoshāñ kā samāñ
koī aahaT na sadā chaliye yahāñ se chaliye
ḳhvāb ḳhushbū-e-talab rañg-e-havas nāz-e-vafā
saarā sarmāya gayā chaliye yahāñ se chaliye
koī saaya na shajar koī tamannā na umañg
uḌ ga.ī sar se ridā chaliye yahāñ se chaliye
is chakā-chauñd meñ sikkoñ kī parakh kyā hogī
koī khoTā na kharā chaliye yahāñ se chaliye
dostoñ hī ke qabīle meñ ye kohrām nahīñ
dushmanoñ ne bhī kahā chaliye yahāñ se chaliye