Mazhar Imam

ek guzarish hai bas itna kijiye

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
ik guzārish hai bas itnā kījiye
jab kabhī fursat ho aayā kījiye
log is kā bhī ġhalat matlab na leñ
ajnabiyyat se na dekhā kījiye
ḳhud ko apnī aañkh se dekhā to hai
ab mirī āñkhoñ se dekhā kījiye
iltijā thī ek saada iltijā
apnī tanhā.ī meñ sochā kījiye
yaad to hogī vo apnī be-ruḳhī
ab mirī tasvīr dekhā kījiye
marham-e-zaḳhm-e-suḳhan ban jā.iye
kuchh mire fan kā mudāvā kījiye
ishq ko kab yaad thī rasm-e-vafā
husn kā kis muñh se shikvā kījiye
zulmat-e-ġham jab ziyāda ho 'imām'
sham-e-fikr-o-fan jalāyā kījiye
Top Urdushayar.com