na ham-navā mire zauq-e-ḳhirām kā niklā
ye rāsta bhī usī narm-gām kā niklā
na.e guloñ kī sadā-e-shaguft tez huī
havā ke lams se rishta kalām kā niklā
musavvirī na sahī kaam aa.ī be-hunarī
koī bahāna to un se salām kā niklā
talāsh-e-rizq meñ nikle the mahr-e-sub.h liye
aqab se pahlā sitāra bhī shaam kā niklā
yahāñ bhī dhuup chalī aa.ī be-ḳhayālī kī
ye sā.ebān-e-tasavvur na kaam kā niklā
musāhiboñ kī tarah har qadam pe ḳhaar mile
mirā safar to baḌe ehtimām kā niklā
vahī shajar vahī patte vahī havā vahī aag
kalām-e-nau bhī mirā rañg-e-ām kā niklā