ab bhī parde haiñ vahī parda-darī to dekho
aql kā da.avā-e-bāliġh-nazarī to dekho
sar paTakte haiñ ki dīvār-e-ḳhumistāñ Dhā deñ
hazrat-e-shaiḳh kī āshufta-sarī to dekho
aaj har zaḳhm ke muñh meñ hai zabān-e-fariyād
mere iisā kī zarā chāragarī to dekho
qaid-e-nazzāra se jalvaoñ ko nikalne na diyā
dostoñ kī ye vasī.a-un-nazarī to dekho
un se pahle hī chale aa.e janāb-e-nāseh
mere nāloñ kī zarā zūd-asarī to dekho
hai taġhāful ki tavajjoh nahīñ khulne paatā
husn-e-ma.asūm kī bedād-garī to dekho
mujh se hī pūchh rahā hai mirī manzil kā pata
mere rahbar kī zarā rāh-barī to dekho
un ko de aa.e haiñ ḳhud apnī mohabbat ke ḳhutūt
ġham-gusāroñ kī zarā nāma-barī to dekho
donoñ hī raah meñ Takrāte chale jaate haiñ
ishq aur aql kī ye ham-safrī to dekho
jāvedāñ qurb ke lamhāt hue haiñ maz.har
tā.ir-e-vaqt kī be-bāl-o-parī to dekho