ajiib vāqi.a thā us ko apne ghar laanā
kabhī charāġh uThānā kabhī qamar laanā
bayān-e-ijz meñ alfāz-e-mo'atabar laanā
baḌā kamāl duāoñ meñ hai asar laanā
bahut hai aaj tamannā uḌaan bharne kī
qafas se jā ke hamāre shikasta par laanā
thake hue haiñ sabhī pā.emāl rāhoñ par
kahīñ se DhūñD ke phir taaza rah-guzar laanā
vo shoḳh rañg kā shaidā hai ye ḳhayāl rahe
qarīb aanā to ḳhud ko lahū meñ tar laanā
bas ek kaam huā ham se zindagī meñ 'imām'
ayāġh-e-umr sharāb-e-ziyāñ se bhar laanā