Mazhar Imam

tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
tujhe bhī jāñchte apnā bhī imtihāñ karte
kahīñ charāġh jalāte kahīñ dhuāñ karte
ka.ī the jalva-e-nāyāb tujh se pahle bhī
kis aasre pe tirā naqsh jāvedāñ karte
safīna Duub rahā thā to kyuuñ na yaad aayā
tirī talab tire armāñ ko bādbāñ karte
mohabbateñ bhī tirī haiñ shikāyateñ bhī tirī
yaqīn tujh pe na hotā to kyuuñ gumāñ karte
havā thī tez jalāte rahe diloñ meñ charāġh
kaTī hai umr lahū apnā rā.egāñ karte
vo be-jhahat kā safar thā savād-e-shām na sub.h
kahāñ pe rukte kahāñ yād-e-raftagāñ karte
dayār-e-ḳhvāb meñ Thahre hisār-e-gul meñ rahe
magar ye ġham hī rahā ḳhud ko shādmāñ karte
Top Urdushayar.com