Mazhar Imam

nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
na.ī bārish kī rim-jhim meñ libās-e-ġham to badlegā
vahī rasm-e-chaman hogī magar mausam to badlegā
vo qahr-e-shāh-ḳhāvar ho ki zahr-e-bād-e-sarsar ho
kisī sūrat mizāj-e-nāzuk-e-shabnam to badlegā
masīhāoñ ne kuchh taaza davā.eñ lā ke rakkhī haiñ
na.e zaḳhm ā.eñge ab bhī magar marham to badlegā
kafan resham ke maqtūloñ ko ab pahnā.e jā.eñge
azādāroñ kā tarz-e-girya-o-mātam to badlegā
na.ī sāqī-garī kā jashn-e-fayyāzī mubārak ho
vahī hoñge ayāġh-o-jām lekin sam to badlegā
na.ī nāvak-zanī hogī magar itnā bhī kiyā kam hai
ki jis aalam meñ ham rahte haiñ vo aalam to badlegā
Top Urdushayar.com