ruḳhsat-e-shām hai aur va.ade kā saaya bhī nahīñ
ab takalluf na karūñ jā ke taqāzā ho jā.ūñ
kab se huuñ maahī be aab zamāne kī tarah
koī nekī ho tire paas to dariyā ho jā.ūñ
kitne pechīda masā.il kī thakan hai mujh meñ
ik zarā soch luuñ tujh ko tar-o-tāza ho jā.ūñ
kitne pahlū haiñ ka.ī rañg chhupe haiñ mujh meñ
abhī aisā huuñ jo tū chāhe to vaisā ho jā.ūñ
apne siine meñ haiñ Thahrī huī sāñseñ kab se
zalzala ban ke to aa maiñ tah-o-bālā ho jā.ūñ
vo rifāqat pe razā-mand nahīñ hai to na ho
kyā maiñ us shaḳhs ke hote hue tanhā ho jā.ūñ
be-yaqīnī hai kuchh imroz meñ itnī 'maz.har'
jī meñ aatā hai ki andesha-e-fardā ho jā.ūñ