maza lams kā be-zabānī meñ thā
ajab zā.iqa ḳhush-gumānī meñ thā
mirī vus.atoñ ko kahāñ jāntā
vo mahv apnī hī be-karānī meñ thā
miTāte rahe avvalīñ yaad ko
ki jo naqsh thā naqsh-e-sānī meñ thā
bahut der tak log sāhil pe the
safīna mirā jab ravānī meñ thā
hamīñ se na ādāb barte ga.e
salīqa bahut mezbānī meñ thā
mai-e-kohna meñ thā nasha-dar-nasha
magar jo maza taaza paanī meñ thā
hameñ vo hamīñ se judā kar gayā
baḌā zulm is mehrbānī meñ thā
safar meñ achānak sabhī ruk ga.e
ajab moḌ apnī kahānī meñ thā