Mazhar Imam

tujhe badnam karne par tuli hai

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
tujhe badnām karne par tulī hai
galī har rāh-rau ko Toktī hai
mirā qissa magar tujh se tahī se
tirī bātoñ meñ kyā shā.istagī hai
sukūt-e-dasht be-ḳhvābī meñ pahroñ
sadā-e-barbat-e-shab gūñjtī hai
vahīñ tak hai khañDar kī āḳhirī had
jahāñ tak chāñdnī phailī huī hai
mirī taḳh.īl ke afsurda lab par
vo apne hoñT rakh kar so ga.ī hai
Top Urdushayar.com