Mazhar Imam

dil-e-hazin ko tamanna hai muskurane ki

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
dil-e-hazīñ ko tamannā hai muskurāne kī
ye rut ḳhushī kī hai yā riit hai zamāne kī
banā ga.iiñ use pechīda nit-na.ī sharheñ
khulī huī thī haqīqat mire fasāne kī
haram ke paas pahuñchte hī thak ke baiTh ga.e
vagarna raah to lī thī sharāb-ḳhāne kī
kisī ke sāya-e-gesū kī baat chhiḌtī hai
mire qarīb raheñ gardisheñ zamāne kī
maiñ tere ġham kā bhī thoḌā sā jā.eza le luuñ
kabhī mile mujhe fursat jo muskurāne kī
sameT leñ mah o ḳhurshīd raushnī apnī
salāhiyat hai zamīñ meñ bhī jagmagāne kī
bhalā 'imām' tahajjud guzār kyā jāneñ
ki raat kitnī hasīñ hai sharāb-ḳhāne kī
Top Urdushayar.com