sham.a kī lau tez itnī thī dhuāñ honā hī thā
fā.ede ke kaam meñ kuchh to ziyāñ honā hī thā
kis ko ḳhush aatī hamārī chhat kī sāya-afganī
ghar banāyā thā to phir be-ḳhānamāñ honā hī thā
ham natīje ke liye tā-zindagī baiThe rahe
ye kahāñ samjhe ki pahle imtihāñ honā hī thā
vādi-e-gul se nikalnā ek majbūrī sahī
shahr-e-nā-pursāñ meñ ham ko rā.egāñ honā hī thā