tāroñ se bharī rāhguzar le ke ga.ī hai
ye sub.h charāġhoñ kā nagar le ke ga.ī hai
tum ko to pata hogā ki hamrāh tumhīñ the
duniyā mire ḳhvāboñ ko kidhar le ke ga.ī hai
pyāse the to paanī ko pukārā thā hamīñ ne
naddī idhar aa.ī hai to ghar le ke ga.ī hai
ik manzil-e-be-maqsad o be-nām kī ḳhvāhish
kāñToñ kī savārī pe safar le ke ga.ī hai
be-bāl-o-parī ab bhī sar-e-dasht hai mahfūz
āñdhī to faqat barg o samar le ke ga.ī hai
shāyad ki ab aa.e tirī qurbat kī na.ī fasl
is baar duā bāb-e-asar le ke ga.ī hai
chamkegā abhī zevar-e-shahzādi-e-mahtāb
us tak vo mire shab kī ḳhabar le ke ga.ī hai