tū hai gar mujh se ḳhafā ḳhud se ḳhafā huuñ maiñ bhī
mujh ko pahchān ki terī hī adā huuñ maiñ bhī
ek tujh se hī nahīñ fasl-e-tamannā shādāb
vahī mausam huuñ vahī āb-o-havā huuñ maiñ bhī
mujh ko paanā ho to har lamha talab kar na mujhe
raat ke pichhle pahar māñg! duā huuñ maiñ bhī
sabt huuñ dast-e-ḳhamoshī pe hinā kī sūrat
nā-shunīda hī sahī terā kahā huuñ maiñ bhī
jaane kis samt chalūñ kaun se ruḳh muḌ jā.ūñ
mujh se mat mil ki zamāne kī havā huuñ maiñ bhī
yuuñ na murjhā ki mujhe ḳhud pe bharosā na rahe
pichhle mausam meñ tire saath khilā huuñ maiñ bhī