jaise kisī tūfān kā ḳhadsha bhī nahīñ thā
kyā log the andesha-e-fardā bhī nahīñ thā
vo kaise musāfir the ki be-zād-e-safar the
siine pe koī bār-e-tamannā bhī nahīñ thā
kyuuñ log mazāroñ pe duā maañg rahe the
mujh par kisī aaseb kā saaya bhī nahīñ thā
kis bāġh-e-tilismāt meñ gum ho ga.iiñ āñkheñ
maiñ ne tirī jānib abhī dekhā bhī nahīñ thā
kyuuñ taaza havā kā koī jhoñkā nahīñ aayā
ehsās ke dar par koī parda bhī nahīñ thā
nashsha dar-e-gandum kā hiran hone se pahle
jannat se nikalnā hai ye sochā bhī nahīñ thā
girtī huī dīvār ko sab dekh rahe the
is shahr meñ kuchh aur tamāshā bhī nahīñ thā
nā-karda-gunahī kī sazā de mujhe yā-rab
jo kaam kiyā maiñ ne vo achchhā bhī nahīñ thā