Mazhar Imam

mera fan meri ghazal tera ishaara to nahin

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
merā fan merī ġhazal terā ishārā to nahīñ
husn terā isī parde meñ ḳhud-ārā to nahīñ
dam-e-zulmat bhī jo āñkhoñ meñ hai tasvīr-e-sahar
haath kuchh is meñ bhī ai dost tumhārā to nahīñ
kākul-e-vaqt meñ suljhāv nazar aatā hai
aap ne zulf-e-pareshāñ ko sañvārā to nahīñ
mere ehsās kī vaadī meñ shafaq sī jhalkī
mujh ko doshīza-e-fitrat ne pukārā to nahīñ
dāman-e-husn se kuchh aur sulag uThtī hai
ishq kī aañkh meñ shabnam bhī sharārā to nahīñ
māntā huuñ ki kināre kī tamannā hai mujhe
maiñ ne tūfāñ se kiyā phir bhī kinārā to nahīñ
ḳhūn-e-gulshan hai pas-e-parda-e-ailān-e-bahār
dekhnā ġhuncha-e-nauras meñ sharārā to nahīñ
phir na.e sar se par-o-bāl meñ jumbish sī huī
nargis-e-shāhid-e-gul kā ye ishārā to nahīñ
tham ga.ī saut-e-jaras ruk ga.e rahbar ke qadam
kisī gum-karda-e-manzil ne pukārā to nahīñ
maiñ ne maanā tire kūche meñ qadam uTh na sake
ziist kī dauḌ meñ lekin kabhī haarā to nahīñ
Top Urdushayar.com