dard-e-ālam bhī kahīñ dard-e-mohabbat hī na ho
dil ke bahlāne kī ye bhī koī sūrat hī na ho
aaj taz.īn-e-jamāl ek fasāna hī sahī
kal ye mashshātgī-e-husn haqīqat hī na ho
un kī āñkhoñ meñ machaltā hai jo afsāna-e-shauq
sochtā huuñ kahīñ vo merī hikāyat hī na ho
be-ruḳhī par jise mahmūl kiyā kartā huuñ
vo bhī kuchh aap kā andāz-e-mohabbat hī na ho
aaj ḳhud husn ko dekhā hai sar-e-kūcha-e-ishq
dekheñ āġhāz koī taaza rivāyat hī na ho
aql bhī ab rasan-o-dār tak aa pahuñchī hai
tiflak-e-shauq kī ik ye bhī sharārat hī na ho