duniyā kā ye e.azāz ye in.aam bahut hai
mujh par tire ikrām kā ilzām bahut hai
is umr meñ ye moḌ achānak ye mulāqāt
ḳhush-gām abhī gardish-e-ayyām bahut hai
bujhtī huī sub.heñ hoñ ki jaltī huī rāteñ
tujh se ye mulāqāt sar-e-shām bahut hai
maiñ marhamat-e-ḳhās kā ḳhvāhāñ bhī nahīñ huuñ
mere liye terī nigah-e-ām bahut hai
kamyāb kiyā hai use bāzār-e-talab ne
ham the to vo arzāñ thā par ab daam bahut hai
us ghar kī badaulat mire sheroñ ko hai shohrat
vo ghar ki jo is shahr meñ badnām bahut hai