TuuTī huī dīvār kā saaya to nahīñ huuñ
maiñ terā hī bhūlā huā va.ada to nahīñ huuñ
guzrā thā dabe paañv jahāñ se tū shab-e-māh
maiñ hī vo tirā bāġh-e-tamannā to nahīñ huuñ
jis naqsh pe chalne kī qasam khātī hai duniyā
maiñ hī vo tirā naqsh-e-kaf-e-pā to nahīñ huuñ
auroñ se mirā naam ulajhtā hai to uljhe
shikva tujhe kyuuñ ho ki maiñ terā to nahīñ huuñ
kyuuñ ḳhud ko na chāhūñ ki tirā dil to nahīñ maiñ
kyuuñ ḳhud ko bhulā duuñ ki zamāna to nahīñ huuñ
tū merī zarūrat mirī aadat to nahīñ hai
mahtāb-e-zamīñ meñ tirā haala to nahīñ huuñ
bāġhoñ se uḌaa.ī huī ḳhushbū hī sahī tū
maiñ nik.hat-e-be-bāk kā parda to nahīñ huuñ
maiñ aks-e-gurezāñ to nahīñ apnī anā kā
maiñ terā hī TuuTā huā rishta to nahīñ huuñ
maiñ āḳhirī jaadū to nahīñ sāhir-e-shab kā
sahmā huā maiñ sub.h kā taarā to nahīñ huuñ