Mazhar Imam

zamana ab ye kaisa aa raha hai

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
zamāna ab ye kaisā aa rahā hai
ki har badmast sambhlā jā rahā hai
jalātī hai ḳhirad sham.oñ pe sham.eñ
añdherā hai ki baḌhtā jā rahā hai
duā.eñ kar rahe haiñ ahl-e-sāhil
safīna hai ki Duubā jā rahā hai
magar baḌhtī nahīñ hai baat aage
zamāna hai ki guzrā jā rahā hai
bharā thā rañg jis ḳhāke meñ barsoñ
vo ḳhāka yak ba yak dhundlā rahā hai
mohabbat aap hī manzil hai apnī
na jaane husn kyuuñ itrā rahā hai
maiñ ḳhud tasvīr bantā jā rahā huuñ
tasavvur meñ mire kaun aa rahā hai
kisī se phir mohabbat ho rahī hai
mujhe phir pyaar dil par aa rahā hai
nigāh-e-ishq kī vus.at na pūchho
jahān-e-husn simTā jā rahā hai
judā us ko na samjho kārvāñ se
'imām' ik bāñkpan se aa rahā hai
Top Urdushayar.com