tirā ḳhayāl sar-e-shām ġham sañvartā huā
bahut qarīb se guzrā salām kartā huā
jhijak rahā thā vo mujh se nazar milāte hue
ki maiñ bhī thā isī ḳhāke meñ rañg bhartā huā
maiñ ġharq hone hī vaalā thā jab to ik tinkā
bhañvar se mujh ko dikhā.ī diyā ubhartā huā
milā vo pāñch sitāroñ kī raqs-gāhoñ meñ
zamāne bhar se pashemān ḳhud se Dartā huā
masāfateñ haiñ bahut aur saḳht rāhoñ se
guzar gayā hai vo mujh ko talāsh kartā huā
raqam huā nahīñ ab tak nisāb-e-ham-safrī
vo qāfila bhī milā jab to kuuch kartā huā
ajab tilism-e-safar hai ki shām-e-maqtal tak
pahuñch gayā huuñ maiñ har moḌ par Thahartā huā
kināra thā mire dariyā se kaT gayā vo shaḳhs
ki maiñ thā vaqt kī sarhad ko paar kartā huā