hai bhare daraḳhtoñ ke bāvajūd ban tanhā
roz-o-shab ke hañgāme phir bhī anjuman tanhā
ratjagoñ ke vo sāthī kis jahāñ meñ baste haiñ
kyā hamīñ tak aa.egī sub.h kī kiran tanhā
zulf kī hasīñ rāteñ kis pe saya-afgan haiñ
mere ghar tak aa.ī hai bū-e-yāsaman tanhā
terī yaad ne uTh kar mujh se kal ye pūchhā thā
apne ġham ke sahrā meñ jā sakoge tan-tanhā
kuchh kamī na thī dil kī kūcha-e-mohabbat meñ
ek ham hī aa.e the le ke jān-o-tan tanhā
haa.e ye shab-e-va.ada dil kā haal kyā kahiye
hajla-e-urūsī meñ jis tarah dulhan tanhā
thī ḳhudā kī shirkat bhī varna bojh nafrat kā
kis tarah uThā paa.e shaiḳh-o-barahman tanhā