tire ḳhayāl kā sho.ala thamā thamā sā thā
tamām shahr-e-tamannā bujhā bujhā sā thā
na jaane mausam-e-talvār kis tarah guzrā
mire lahū kā shajar to jhukā jhukā sā thā
hameñ bhī niiñd ne thapkī dī so ga.e tum bhī
tamām hādsa-e-shab sunā sunā sā thā
balā-e-shām ke saa.e the aur vādi-e-dil
agarche sub.h kā chehra dhulā dhulā sā thā
charāg manzil-e-dil par jalā ke kyā karte
vafā kā qāfila kab se rukā rukā sā thā
vo naam jis ke liye zindagī gañvā.ī ga.ī
na jaane kyā thā magar kuchh bhalā bhalā sā thā