mere harīf hī ko sahī chāhtā to hai
ab us kī zindagī meñ koī tīsrā to hai
maanā guzārtā hai vo masrūf zindagī
lekin kabhī kabhī hī mujhe sochtā to hai
chhalkī huī haiñ sā.at-e-jāñ kī gulābiyāñ
mahfil meñ āñsuoñ kī abhī rat-jagā to hai
us ko udaas dekh ke kitnī ḳhushī huī
merī tamām umr kā ġham-āshnā to hai
nok-e-mizha pe us kī sitāra kabhī kabhī
mere dhaḌakte dil kī tarah kāñptā to hai
sach hai ki titliyoñ se use hai munāsibat
kam kam hī barg-e-dil pe magar baiThtā to hai
añgḌā.iyoñ se phuul kī aatī to hai sadā
ḳhushbū kā shoḳh-o-shañg badan TūTtā to hai