Mazhar Imam

zindagi kawish-e-baatil hai mera sath na chhoD

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
zindagī kāvish-e-bātil hai mirā saath na chhoḌ
tū hī ik umr kā hāsil hai mirā saath na chhoḌ
log milte haiñ sar-e-rāh guzar jaate haiñ
tū hī ik ham-safar-e-dil hai mirā saath na chhoḌ
tū ne sochā hai mujhe tū ne sañvārā hai mujhe
tū mirā zehn mirā dil hai mirā saath na chhoḌ
tū na hogā to kahāñ jā ke jalūñgā shab bhar
tujh se hī garmi-e-mahfil hai mirā saath na chhoḌ
maiñ ki biphre hue tūfāñ meñ huuñ lahroñ lahroñ
tū ki āsūda-e-sāhil hai mirā saath na chhoḌ
is rifāqat ko sipar apnī banā leñ jī leñ
shahr kā shahr hī qātil hai mirā saath na chhoḌ
ek maiñ ne hī ugaa.e nahīñ ḳhvāboñ ke gulāb
tū bhī is jurm meñ shāmil hai mirā saath na chhoḌ
ab kisī raah pe jalte nahīñ chāhat ke charāg
tū mirī āḳhirī manzil hai mirā saath na chhoḌ
Top Urdushayar.com