Mazhar Imam

wahi dasht-e-bala hai aur main hun

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
vahī dasht-e-balā hai aur maiñ huuñ
zamāne kī havā hai aur maiñ huuñ
tujhe ai ham-safar kaise sambhālūñ
pahāḌī rāsta hai aur maiñ huuñ
sukūt-e-koh hai aur sāya-e-dar
sadā-e-mā-sivā hai aur maiñ huuñ
magar shāḳhoñ se patte gir rahe haiñ
vahī āb-o-havā hai aur maiñ huuñ
ye saarī barf girne do mujhī par
tapish sab se sivā hai aur maiñ huuñ
ka.ī din se nasheman ḳhāk-e-dil kā
sar-e-shāḳh-e-havā hai aur maiñ huuñ
pahāḌoñ par kahīñ bārish huī hai
zamīñ mahv-e-duā hai aur maiñ huuñ
mujhe bhī kuchh na kuchh karnā paḌegā
zamāna sar-phirā hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com