koī sune na sune arz-e-hāl kartā jā
na ruk javāb kī ḳhātir savāl kartā jā
samundaroñ ko havā meñ uchhāl de ik baar
tū bā-hunar hai to ye bhī kamāl kartā jā
badal de hijr kī saa.at ko vasl lamhoñ meñ
banā ke kaam ko āsāñ muhāl kartā jā
tū be-misāl agar hai to mujh meñ zāhir ho
mujhe bhī apnī tarah be-misāl kartā jā
qarīb aa ki ujāloñ ke haar pahnā duuñ
mujhe asīr-e-shab-e-lā-zavāl kartā jā
shikast o fat.h nasīboñ se hai vale ai dil
mile haiñ zaḳhm to ḳhud indimāl kartā jā
yahīñ kahīñ tirā maazī bhī saañs letā hai
guzarne vaale bas itnā ḳhayāl kartā jā
tirā hunar tirī dānā.ī bad-duā hai 'imām'
zavāl terā muqaddar kamāl kartā jā
suḳhan-navāz mire nukta-chīñ mire nāqid
mujhe shikār-e-itāb-o-jalāl kartā jā
bahut se tiir haiñ terī kamāñ meñ qaid ab bhī
mire lahū se qabā apnī laal kartā jā
mire zavāl pe kar sabt āḳhirī tahrīr
ye kār-e-nek bhī ai lā-zavāl kartā jā