vo raushnī hai ki āñkhoñ ko kuchh sujhā.ī na de
sukūt vo ki dhamāka bhī ab sunā.ī na de
pahuñch gayā huuñ zamān o makān ke malbe tak
mirī anā mujhe ilzām-e-nā-rasā.ī na de
agar kahīñ hai to dil chiir kar dikhā mujh ko
tū apnī zaat kā irfān de ḳhudā.ī na de
azal ke TūTte rishtoñ kī is kashākash meñ
pukār aisī adā se mujhe sunā.ī na de
nikal chukā huuñ maiñ apnī kamān se aage
ta.alluqāt-e-guzishta kī ab duhā.ī na de