Mazhar Imam

ye tajraba bhi karun ye bhi gham uThaun main

Mazhar Imam

Munger, Bihar, India

1928-2012
ye tajraba bhī karūñ ye bhī ġham uThā.ūñ maiñ
ki ḳhud ko yaad rakhūñ us ko bhuul jā.ūñ maiñ
usī se pūchh ke dekhūñ vo merā hai ki nahīñ
ab aur kitnā fareb-e-jamāl khā.ūñ maiñ
vo be-libās sahī jāma-zeb kitnā hai
mah-e-ḳhayāl ko poshāk kyā pahnā.ūñ maiñ
vo pul kahāñ hai jo duniyā se joḌtā thā mujhe
jo tū qarīb ho sab se qarīb aa.uuñ maiñ
kabhī to ho mire ehsās-e-kam-tarī meñ kamī
kabhī to ho ki use khul ke yaad aa.uuñ maiñ
vo shaḳhs hai ki nasīm-e-sahar kā jhoñkā hai
bikhar hī jā.ūñ jo us ko gale lagā.ūñ maiñ
azaañ ke ba.ad duā ko jo haath uThā.e vo
'imām' apnī namāzeñ bhī bhuul jā.ūñ maiñ
Top Urdushayar.com