be-numūd dard kī numā.ish kyoñ
dil se kartī hai aañkh sāzish kyoñ
ġham jo likkhā huā hai chehre pe
koī paḌh le to us se ranjish kyoñ
vo jo har zāviye se dil meñ hai
us ko phir dekhne kī ḳhvāhish kyoñ
ḳhvāb-e-tāza jagā.e āñkhoñ meñ
ham pe mausam kī ye navāzish kyoñ
sab ko apne hī kaam the us se
koī kartā mirī sifārish kyoñ