chāñd gum-sum chamaktā huā aur maiñ
yaad kā baab khultā huā aur maiñ
kuchh ajab sā thā manzar ga.ī raat kā
duur ghaḌiyāl bajtā huā aur maiñ
hāñptā kāñptā shahr kā rāsta
dāstāñ apnī kahtā huā aur maiñ
koī suntā nahīñ shor tanhā.ī kā
ek dil hai dhaḌaktā huā aur maiñ
muḳhtalif hauke bhī ek jaise lage
ek bādal bhaTaktā huā aur maiñ
baiThiye kis jagah jā.iye ab kahāñ
har taraf ḳhaar ugtā huā aur maiñ
ghar ke chhoTe se ik aa.ine meñ 'sadaf'
merā chehra badaltā huā aur maiñ