vo pīpal ke tale TuuTī huī mehrāb kā manzar
dikhā detā hai mujh ko ik dil-e-betāb kā manzar
chalā kar kāġhzī kashtī koī ma.asūm hañstā thā
bahut hī ḳhūb-sūrat thā kabhī tālāb kā manzar
safar vo mutma.in kartā rahā biphre samundar meñ
ki us ke zehn meñ ubhrā na thā girdāb kā manzar
thapeḌoñ meñ bhī sar mahfūz haiñ pakke makānoñ ke
tum āñkheñ khol kar dekho zarā sailāb kā manzar
aqīdat se bahā.e phuul yuuñ jhuk kar pujāran ne
ki rañgīñ ho gayā dariyā meñ ik girdāb kā manzar
sukūñ rāhat tabassum giit sāñsoñ meñ ghulī ḳhushbū
'sadaf' lagtā hai mujh ko ye anokhe ḳhvāb kā manzar