Sadaf Jafri

raste phaile hue jitne bhi the patthar ke the

Sadaf Jafri

rāste phaile hue jitne bhī the patthar ke the
rāhzan shashdar rahe ḳhud qāfile patthar ke the
narm-o-nāzuk ḳhvāhisheñ kyā ho ga.iiñ ham kyā kahīñ
ārzūoñ kī nadī meñ bulbule patthar ke the
ashk se mahrūm thiiñ āñkheñ fazā-e-shahr kī
jān-o-dil patthar ke the jo ġham mile patthar ke the
har qadam par Thokaroñ meñ zindagī baTtī rahī
aadmī kī raah meñ sab marhale patthar ke the
dil dhaḌak kar chup rahā kal maslahat kī raah par
sar-burīda saikḌoñ uupar tale patthar ke the
regzār-e-zīst meñ soz-e-safar jaatā rahā
yuuñ huā mahsūs jaise aable patthar ke the
lamha lamha sañg ban kar jī rahī thī maiñ 'sadaf'
chāhatoñ ke darmiyāñ jab hausle patthar ke the
Top Urdushayar.com