sarsar chalī vo garm ki saa.e bhī jal ga.e
sahrā meñ aa ke yāroñ ke huliye badal ga.e
jab raakh ho ke rah gayā vo shahr-e-gul-ruḳhāñ
phir us taraf ko bādaloñ ke dal ke dal ga.e
tan kar khaḌā rahā to koī sāmne na thā
jab jhuk gayā to har kisī ke vaar chal ga.e
kuchh dukh kī raushnī thī baḌī tez aur kuchh
ashkoñ kī bārishoñ se bhī chehre ajal ga.e
ik rañg thā lahū kā jo ashkoñ meñ aa gayā
kuchh dil ke dard the so vo sheroñ meñ Dhal ga.e
'iqbāl' misl-e-mauj-e-havā kab talak safar
kyā jaane kis taraf ko vo chāhat ke yal ga.e