nagar meñ rahte the lekin gharoñ se duur rahe
ajiib log the jo dilbaroñ se duur rahe
duā.eñ māñgte phirte haiñ log galiyoñ meñ
matā-e-hosh hamāre saroñ se duur rahe
ye log kīmiyā-gar haiñ parakh na leñ ham ko
ye baat soch ke vo be-zaroñ se duur rahe
matā-e-dard luTāte rahe zamāne meñ
ham ahl-e-dard the saudāgaroñ se duur rahe
girūñ zamīn pe maiñ TuuT kar sitārā sā
magar sukūn kī ḳhvāhish paroñ se duur rahe
nikal ke ḳhud se shanāsā.ī kī nazar DhūñDo
jo log ghar meñ rahe dūsroñ se duur rahe
badan hai shīshe ke mānind vaqt kā iqbāl
use batāo ki ham pattharoñ se duur rahe