Iqbal Minhas

na koi ghair na apna dikhai deta hai

Iqbal Minhas

na koī ġhair na apnā dikhā.ī detā hai
har aadmī mujhe tujh sā dikhā.ī detā hai
ravish ravish tire qadmoñ ke naqsh milte haiñ
galī galī tirā chehrā dikhā.ī detā hai
shab-e-firāq kī tārīkiyoñ kā haal na pūchh
charāġh-e-māh bhī andhā dikhā.ī detā hai
ajiib rañg-e-bahārāñ hai ab ke gulshan meñ
na koī phuul na ġhuncha dikhā.ī detā hai
utar ke dekh zarā pyaar ke samundar meñ
ki mauj mauj meñ rasta dikhā.ī detā hai
kahāñ kahāñ pe jalā.ūñ dil-o-nazar ke charāġh
har ek ghar meñ añdherā dikhā.ī detā hai
usī kā zahr hai hāthoñ meñ aaj tak 'iqbāl'
vo ek phuul jo pyārā dikhā.ī detā hai
Top Urdushayar.com