M. Usman Shakir

hijr ke daur mein haalat badal jate hain

M. Usman Shakir

Abbottabad, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1980
hijr ke daur meñ hālāt badal jaate haiñ
phuul mar jaate haiñ sab paat badal jaate haiñ
tū ne dekhā hai kabhī dard ke sahrāoñ meñ
dhuup baḌhne lage tab saath badal jaate haiñ
ham pe vo vaqt hai ab chāhe ḳhushī aa.e ki ġham
aañkh nam hotī hai jazbāt badal jaate haiñ
maiñ ne logoñ ko bhī mausam kā muqallid paayā
baat hotī hī nahīñ haath badal jaate haiñ
tum abhī aa.e ho tum baañT lo chāhat ke varaq
vaqt ke saath ḳhayālāt badal jaate haiñ
pahle thā bhuuk kā Dar ab hai ridā ḳhatre meñ
kyā ḳhabar thī hameñ ḳhatrāt badal jaate haiñ
ye to fitrat hai burā in ko na kahnā 'shākir'
tū ne dekhā nahīñ din raat badal jaate haiñ
Top Urdushayar.com