kuchh log jo hāsil hoñ gañvā.e nahīñ jaate
is tarah ḳhazāne to luTā.e nahīñ jaate
amrit tirī bātoñ kā hī kaafī hai ajal ko
yuuñ zahr pyāle to pilā.e nahīñ jaate
kyoñ ham se hue jaate ho anjān achānak
is tarah to paimān bhulā.e nahīñ jaate
jaise tirī yādoñ ko sajāyā hai qafas meñ
aise to shabistāñ bhī sajā.e nahīñ jaate
rahte haiñ kasak ban ke tirī yaad ke jugnū
is dil se tirī yaad ke saa.e nahīñ jaate
koī use batlā.e ki aa jaa.e vagarna
ab ham se diye aur jalā.e nahīñ jaate
jis tarah dil-soḳhta ko maiñ ne sulāyā
us tarah to bachche bhī sulā.e nahīñ jaate
'shākir' maiñ vo andāz-e-jafā bhuul to jā.ūñ
jo naqsh haiñ dil par vo miTā.e nahīñ jaate