hai hijr phailā huā aur raushnī kam hai
mohabbatoñ ke liye ek zindagī kam hai
tirā visāl alāmat hai mere jiine kī
aur ab ke jiine kī ummīd aur bhī kam hai
na vo firāq na nafrat na intihā-e-ġham
mirī hayāt meñ har ek tīrgī kam hai
tum apnī niim sī āñkhoñ se hī pilā Daalo
mire laboñ pe piyāloñ kī tishnagī kam hai
mire mizāj se miltā nahīñ hai terā mizāj
tire mizāj meñ shāyad ki āshiqī kam hai
ajiib badlā huā lag rahā hai vo 'shākir'
aur us ke lahje meñ bhī ab ki be-ruḳhī kam hai