garmi-e-pahlū-e-dildār ne sone na diyā
mujh ko rangīni-e-afkār ne sone na diyā
yūñhī taktā rahā tāroñ ko sahar hone tak
raat bhar dīda-e-bedār ne sone na diyā
raat bhar lazzat-e-qurbat se rahā mahv-e-kalām
raat bhar mujh ko mire yaar ne sone na diyā
raat bhar jaagā kiye palkeñ na jhapkīñ ham ne
raat bhar ishq ke āzār ne sone na diyā
raat bhar dil ke dhaḌakne kī sadā aatī rahī
raat bhar sāya-e-dīvār ne sone na diyā
raat bhar yād-e-guzishta ne satāyā mujh ko
raat bhar chashm-e-guhar-bār ne sone na diyā
raat bhar khul na sakā mujh pe kisī taur 'nadīm'
raat bhar husn-e-pur-asrār ne sone na diyā