Shahbaz Nadeem Ziai

saat-e-asudgi dekhe hue arsa hua

Shahbaz Nadeem Ziai

Delhi, India

1951-2017
sā.at-e-āsūdgī dekhe hue arsa huā
muflisī ko mere ghar Thahre hue arsa huā
lamha-e-rāhat-rasā dekhe hue arsa huā
maañ tire shāne pe sar rakkhe hue arsa huā
hijr kī tārīkiyoñ kā silsila hai duur tak
chāndnī ko chāñd se bichhḌe hue arsa huā
zindagī be-ḳhvāb lamhoñ meñ simaT kar rah ga.ī
hijr meñ tere palak jhapke hue arsa huā
ḳhauf se sahmā huā hai dil parinda aaj bhī
sar se sailāb-e-alam guzre hue arsa huā
dil ko rahtā hai musalsal muntashir hone kā ḳhauf
yaanī andar se mujhe TuuTe hue arsa huā
kārobār-e-zīst meñ kuchh is qadar uljhā ki bas
tere baare meñ bhī kuchh soche hue arsa huā
ai hujūm-e-ārzū ab chāhtā huuñ taḳhliya
ḳhāna-e-dil meñ tujhe rahte hue arsa huā
maiñ kahāñ huuñ kaun sī manzil meñ huuñ koī batā.e
mujh ko apnī khoj meñ nikle hue arsa huā
dushmanī gum ho ga.ī hai dostoñ kī bhiiḌ meñ
chehra haa.e dushmanāñ dekhe hue arsa huā
jā tū apnī raah le ab ai dil-e-ishrat-talab
pehlū-e-'shahbāz' meñ baiThe hue arsa huā
Top Urdushayar.com