Shahbaz Nadeem Ziai

dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun

Shahbaz Nadeem Ziai

Delhi, India

1951-2017
dayār-e-shām na burj-e-saher meñ raushan huuñ
maiñ ek umr se apne hī ghar meñ raushan huuñ
hujūm-e-shab-zadgāñ se farār ho kar aaj
jamāl-e-shola-e-sham-e-saher meñ raushan huuñ
maiñ muntazir huuñ to phir muntazar bhī aa.egā
charāġh-e-jāñ kī tarah rah-guzar meñ raushan huuñ
na jaane kab mirī hastī dhuāñ dhuāñ ho jaa.e
maiñ ek sā.at-e-nā-motabar meñ raushan huuñ
mire harīf-e-suḳhan kuchh tujhe ḳhabar bhī hai
tire sabab se hisār-e-hunar meñ raushan huuñ
nizām-e-gardish-e-daurāñ mirā muqaddar hai
maiñ ik sitāre kī sūrat safar meñ raushan huuñ
akelā jaan ke ḳhud ko na ho udaas ki maiñ
misāl-e-ashk tirī chashm-e-tar meñ raushan huuñ
mujhe talāsh na kar merī zaat meñ 'shahbāz'
bahut dinoñ se jahān-e-digar meñ raushan huuñ
Top Urdushayar.com